Wednesday 28 December 2016

Faiz Ahmed Faiz ke deewan se ek nazm, Naye Saal Per.

Ae Naye Saal Bata Tujh Mein Naya Kia Hai? 
Har Taraf Khalq Nay Kyun Shor Macha Rakha Hai
Roshni Din Ki Wohi Taron Bhari Raat Wohi 
Aaj Hum Ko Nazar Aati Hai Har Baat Wohi
Aasman Badla Hai Afsoos, Na Badli Hai Zameen 
Aik Hindsay Ka Badalna Koi Jiddat To Nahi
Aglay Barson Ki Tarah Hongay Qareenay Teray 
Kisay Maloom Nahi Barah Mahinay Teray
January, February Or March Mein Paray Sardee 
Or April, May, June Mein Hogee Garmee
Tera Mun Dehar Mein Kuch Khoye Ga Kuch Paye Ga 
Apni Miyad Basar Karkay Chala Jaye Ga
Tu Naya Hai To Dikha Subah Nayi, Shaam Nayi 
Warna In Aankhon Nay Dekhay Hain Naye Saal Kayi
Be-Sabab Daitay Hain Kiun Log Mubarakbadain 
Ghaliban Bhool Gaye Waqt Ki Karwi Yaadain
Teri Aamad Say Ghati Umr, Jahan Mein Sub Ki 
Faiz Nay Likhi Hai Yeh Nazm Niralay Dhab Ki

No comments:

Post a Comment